na jaane kaisi mahrumi pas-e-raftar chalti hai
hamesha mere aage aage ek diwar chalti hai
wo ek hairat ki main jis ka taaqub roz karta hun
wo ek wahshat mere hamrah jo har bar chalti hai
nikal kar mujh se bahar lauT aati hai meri jaanib
meri diwangi ab surat-e-parkar chalti hai
ajab andaz-e-ham-safari hai ye bhi qafile walo
hamare darmiyan ek aahani diwar chalti hai
ghazal kahna bhi ab ek kar-e-be-masraf sa lagta hai
naya kuchh bhi nahin hota bas ek takrar chalti hai
'nabil' is ishq mein tum jit bhi jao to kya hoga
ye aisi jit hai pahlu mein jis ke haar chalti hai
Ghazal
Na jaane kaisi mahrumi pas-e-raftar chalti hai
Aziz Nabeel