'atiq' bujhta bhi kaise charagh-e-dil mera
lagi thi us ki hifazat mein sari raat hawa
Ateeq Allahabadi
dew pari ke qisse sun kar
bhuke bachche so lete hain
Ateeq Allahabadi
ghar hamara phunk kar kal ek paDosi ai 'atiq'
do ghaDi to hans liya phir baad mein roya bahut
Ateeq Allahabadi
honTon par ek bar saja kar apne honT
us ke baad na baaten karna so jaana
Ateeq Allahabadi
main ne puchha ye bata mujh se bichhaDne ka tujhe
kuchh qalaq hota hai kya us ne kaha thoDa bahut
Ateeq Allahabadi
nawazta tha hamesha wo gham ki daulat se
aur is KHazane se main mala mal ho hi gaya
Ateeq Allahabadi