aas kya ab to umid-e-na-ummidi bhi nahin
kaun de mujh ko tasalli kaun bahlae mujhe
Amirullah Tasleem
ahd ke baad liye bose dahan ke itne
ki lab-e-zud-pashiman ko mukarne na diya
Amirullah Tasleem
as ki thi rone ki aadat wasl mein bhi yar se
kah ke apna aap haal-e-arzu rone laga
Amirullah Tasleem
dastan-e-shauq-e-dil aisi nahin thi muKHtasar
ji laga kar tum agar sunte main kahta aur bhi
Amirullah Tasleem
dil dhaDakta hai shab-e-gham mein kahin aisa na ho
marg bhi ban kar mizaj-e-yar tarsae mujhe
Amirullah Tasleem
dil-lagi mein hasrat-e-dil kuchh nikal jati to hai
bose le lete hain hum do-chaar hanste bolte
Amirullah Tasleem
dimagh de jo KHuda gulshan-e-mohabbat mein
har ek gul se tere pairahan ki bu aae
Amirullah Tasleem
fikr hai shauq-e-kamar ishq-e-dahan paida karun
chahta hun ek dil mein do makan paida karun
Amirullah Tasleem
gar yahi hai pas-e-adab-e-sukut
kis tarah fariyaad lab tak aaegi
Amirullah Tasleem