gar yahi hai aadat-e-takrar hanste bolte
munh ki ek din khaenge aghyar hanste bolte
thi tamanna bagh-e-alam mein gul o bulbul ki tarah
baiTh kar hum tum kahin ai yar hanste bolte
meri qismat se zaban-e-tir bhi goya nahin
warna kya kya zaKHm-e-daman-dar hanste bolte
dil-lagi mein hasrat-e-dil kuchh nikal jati to hai
bose le lete hain hum do-chaar hanste bolte
aaj uzr-e-ittiqa 'taslim' kal tak yar se
aap ko dekha sar-e-bazar hanste bolte
Ghazal
Gar yahi hai aadat-e-takrar hanste bolte
Amirullah Tasleem