fikr hai shauq-e-kamar ishq-e-dahan paida karun
chahta hun ek dil mein do makan paida karun
tab-e-ali se agar auj-e-bayan paida karun
main zamin-e-sher mein bhi aasman paida karun
hun main wo dil-soKHta tasir-e-ah-e-garm se
gulshan-e-jannat mein bhi daur-e-KHizan paida karun
panw kahte hain tere kuche mein aa kar zoaf se
tu gira de aur main KHwab-e-giran paida karun
ab bhi tum aao to main aankhon mein bahr-e-yak-nazar
DhunD kar thoDi si jaan-e-na-tawan paida karun
main hun ai 'taslim' shagird-e-'nasim'-e-dahlawi
chahiye ustad ka tarz-e-bayan paida karun
Ghazal
Fikr hai shauq-e-kamar ishq-e-dahan paida karun
Amirullah Tasleem