aawazon ka bojh uThae sadiyon se
banjaron ki tarah guzara karta hun
Abrar Azmi
chehron ke maile jismon ke jangal the har jagah
un mein kahin bhi koi magar aadmi na tha
Abrar Azmi
kamre mein dhuan dard ki pahchan bana tha
kal raat koi phir mera mehman bana tha
Abrar Azmi
KHushnuma diwar-o-dar ke KHwab hi dekha kiye
jism sahra zehn viran aankh gili ho gai
Abrar Azmi
main ne kal toDa ek aaina to mahsus hua
is mein poshida koi chiz thi jauhar jaisi
Abrar Azmi
mujhe bhi fursat-e-nazzara-e-jamal na thi
aur us ko pas kisi aur ke bhi jaana tha
Abrar Azmi
parinde fazaon mein phir kho gae
dhuan hi dhuan aashiyanon mein tha
Abrar Azmi
shayad tumhaari yaad mere pas aa gai
ya hai mere hi dil ki sada sochna paDa
Abrar Azmi
tamam raat wo pahlu ko garm karta raha
kisi ki yaad ka nashsha sharab jaisa tha
Abrar Azmi