KHayal lams ka kar-e-sawab jaisa tha
asar sada ka bhi mauj-e-sharab jaisa tha
waraq nuche hue sab lafz o mani gum-sum the
ye baat sach hai wo chehra kitab jaisa tha
tamam raat wo pahlu ko garm karta raha
kisi ki yaad ka nashsha sharab jaisa tha
udas zarron ke ham-rah koi phirta raha
KHamoshiyon ka bayaban sarab jaisa tha
ek umr khoi to ye raaz mujh pe fash hua
KHayal-e-mahr-o-wafa naqsh-e-ab jaisa tha
Ghazal
KHayal lams ka kar-e-sawab jaisa tha
Abrar Azmi