tumhaari bazm mein jis baat ka bhi charcha tha
mujhe yaqin hai us mein na zikr mera tha
na sard aahen na shikwe na zikr-e-dard-e-firaq
hamare ishq ka andaz hi nirala tha
kal aa gaya tha siwa neze par mera suraj
main jal raha tha magar har taraf andhera tha
tha chehra yaKH-zada jazbaat ki hasin taswir
badan kashish ka muraqqa sarab-asa tha
mujhe bhi fursat-e-nazzara-e-jamal na thi
aur us ko pas kisi aur ke bhi jaana tha
Ghazal
Tumhaari bazm mein jis baat ka bhi charcha tha
Abrar Azmi