dhup chamki raat ki taswir pili ho gai
din gaya aur sard tariki nukili ho gai
jaane kis ki justuju mein is qadar ghuma kiye
hum jawan mardon ki har poshak Dhili ho gai
mai-kada se ghar ki jaanib KHud-ba-KHud kyun aa gae
sard kamre ki faza kya phir nashili ho gai
hum sarabon ke safar ke is qadar aadi hue
jal-bhari nadiyon ki lazzat bhi kasili ho gai
KHushnuma diwar-o-dar ke KHwab hi dekha kiye
jism sahra zehn viran aankh gili ho gai
Ghazal
Dhup chamki raat ki taswir pili ho gai
Abrar Azmi