aai hawa na ras jo sayon ke shahr ki
hum zat ki qadim guphaon mein kho gae
Abdul Ahad Saaz
ab aa ke qalam ke pahlu mein so jati hain be-kaifi se
misron ki shoKH hasinaen sau bar jo ruThti manti thin
Abdul Ahad Saaz
aam-o-dar ki raushni phir kyun bulati hai mujhe
main nikal aaya tha ghar se ek shab-e-tarik mein
Abdul Ahad Saaz
achpan mein hum hi the ya tha aur koi
wahshat si hone lagti hai yaadon se
Abdul Ahad Saaz
ayaz par sambhal sake na tajrabe
phisal paDe bayan ban ke rah gae
Abdul Ahad Saaz
ol the diwanon ke jin se hosh walon ne
soch ke dhundlakon mein apna rasta paya
Abdul Ahad Saaz
ura ho aaine tera main kaun hun na khul saka
mujhi ko pesh kar diya gaya meri misal mein
Abdul Ahad Saaz
dad-o-tahsin ki boli nahin tafhim ka naqd
shart kuchh to mere bikne ki munasib Thahre
Abdul Ahad Saaz
dost ahbab se lene na sahaare jaana
dil jo ghabrae samundar ke kinare jaana
Abdul Ahad Saaz