dost ahbab se lene na sahaare jaana
dil jo ghabrae samundar ke kinare jaana
Abdul Ahad Saaz
kaTi hui hai zamin koh se samundar tak
mila hai ghao ye dariya ko rasta de ka
Adeem Hashmi
kaun kahta hai ki maut aai to mar jaunga
main to dariya hun samundar mein utar jaunga
Ahmad Nadeem Qasmi
and ho jata hai kuze mein kabhi dariya bhi
aur kabhi qatra samundar mein badal jata hai
Faryad Aazar
samundar ada-fahm tha ruk gaya
ki hum panw pani pe dharne ko the
Irfan Siddiqi
unhen Thahre samundar ne Duboya
jinhen tufan ka andaza bahut tha
Malikzada Manzoor Ahmad
nazron se napta hai samundar ki wusaten
sahil pe ek shaKHs akela khaDa hua
Mohammad Alvi