aaj phir shab ka hawala teri jaanib Thahre
chand mazmun bane sharh-e-kawakib Thahre
dad-o-tahsin ki boli nahin tafhim ka naqd
shart kuchh to mere bikne ki munasib Thahre
nek guzre meri shab sidq-e-badan se tere
gham nahin rabta-e-subh jo kazib Thahre
muKHlisi bais-e-tazhik zehanat dushman
ye mahasin to mere haq mein maaib Thahre
main hun KHud se mutaqabil mutabaadil mutazad
ruh Thahre mera unwan kabhi qalib Thahre
baT hi dil ke juda hon to bhala kaun aaKHir
kis ka ham-wazn ba-mizan-e-matalib Thahre
Ghazal
Aaj phir shab ka hawala teri jaanib Thahre
Abdul Ahad Saaz