tum mohabbat ko khel kahte ho
hum ne barbaad zindagi kar li
Bashir Badr
zindagi tu ne mujhe qabr se kam di hai zamin
panw phailaun to diwar mein sar lagta hai
Bashir Badr
andhan sa ek bandha tha rag-o-pai se jism mein
marne ke baad hath se moti bikhar gae
Bashiruddin Ahmad Dehlvi
hamari zindagi to muKHtasar si ek kahani thi
bhala ho maut ka jis ne bana rakkha hai afsana
Bedam Shah Warsi
ye chaar din ke tamashe hain aah duniya ke
raha jahan mein sikandar na aur na jam baqi
Bhartendu Harishchandra
ek silsila hawas ka hai insan ki zindagi
is ek musht-e-KHak ko gham do-jahan ke hain
Chakbast Brij Narayan
zindagi kya hai anasir mein zuhur-e-tartib
maut kya hai inhin ajza ka pareshan hona
Chakbast Brij Narayan