zindagi chhin le baKHshi hui daulat apni
tu ne KHwabon ke siwa mujh ko diya bhi kya hai
Akhtar Saeed Khan
din raat mai-kade mein guzarti thi zindagi
'aKHtar' wo be-KHudi ke zamane kidhar gae
Akhtar Shirani
zindagi kitni masarrat se guzarti ya rab
aish ki tarah agar gham bhi gawara hota
Akhtar Shirani
dard baDh kar dawa na ho jae
zindagi be-maza na ho jae
Aleem Akhtar
lai hai kis maqam pe ye zindagi mujhe
mahsus ho rahi hai KHud apni kami mujhe
Ali Ahmad Jalili
aish hi aish hai na sab gham hai
zindagi ek hasin sangam hai
Ali Jawwad Zaidi
zist ka e'tibar kya hai 'amir'
aadmi bulbula hai pani ka
Ameer Minai