ijazat ho to main tasdiq kar lun teri zulfon se
suna hai zindagi ek KHub-surat dam hai saqi
Abdul Hamid Adam
zindagi zor hai rawani ka
kya thamega bahaw pani ka
Abdul Hamid Adam
jo unhen wafa ki sujhi to na zist ne wafa ki
abhi aa ke wo na baiThe ki hum uTh gae jahan se
Abdul Majeed Salik
ishq ke mazmun the jin mein wo risale kya hue
ai kitab-e-zindagi tere hawale kya hue
Abu Mohammad Sahar
kis tarah jama kijiye ab apne aap ko
kaghaz bikhar rahe hain purani kitab ke
Adil Mansuri
kuchh aur tarah ki mushkil mein Dalne ke liye
main apni zindagi aasan karne wala hun
Aftab Hussain
zindagi KHwab hai aur KHwab bhi aisa ki miyan
sochte rahiye ki is KHwab ki tabir hai kya
Ahmad Ata