اردو हिंदी
Sar se pa tak wo gulabon ka shajar lagta hai | Shaahi Shayari
sar se pa tak wo gulabon ka shajar lagta hai

Ghazal

Sar se pa tak wo gulabon ka shajar lagta hai

Bashir Badr

;

sar se pa tak wo gulabon ka shajar lagta hai
ba-wazu ho ke bhi chhute hue Dar lagta hai

main tere sath sitaron se guzar sakta hun
kitna aasan mohabbat ka safar lagta hai

mujh mein rahta hai koi dushman-e-jaani mera
KHud se tanhai mein milte hue Dar lagta hai

but bhi rakkhe hain namazen bhi ada hoti hain
dil mera dil nahin allah ka ghar lagta hai

zindagi tu ne mujhe qabr se kam di hai zamin
panw phailaun to diwar mein sar lagta hai