un pe qurban har KHushi kar di
zindagi nazr-e-zindagi kar di
Figar Unnavi
gharaz ki kaT diye zindagi ke din ai dost
wo teri yaad mein hon ya tujhe bhulane mein
Firaq Gorakhpuri
kam se kam maut se aisi mujhe ummid nahin
zindagi tu ne to dhoke pe diya hai dhoka
Firaq Gorakhpuri
maut ka bhi ilaj ho shayad
zindagi ka koi ilaj nahin
for death a cure there well may be
but for this life no remedy
Firaq Gorakhpuri
ye mana zindagi hai chaar din ki
bahut hote hain yaro chaar din bhi
Firaq Gorakhpuri
zindagi kya hai aaj ise ai dost
soch len aur udas ho jaen
Firaq Gorakhpuri
koi manzil aaKHiri manzil nahin hoti 'fuzail'
zindagi bhi hai misal-e-mauj-e-dariya rah-rau
Fuzail Jafri