jaan-lewa thin KHwahishen warna
wasl se intizar achchha tha
Jaun Eliya
use KHabar hai ki anjam-e-wasl kya hoga
wo qurbaton ki tapish fasle mein rakhti hai
Khalid Yusuf
wasl ki raat hai bigDo na barabar to rahe
phaT gaya mera gareban tumhaara daman
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
mere sawal-e-visal par tum nazar jhuka kar khaDe hue ho
tumhin batao ye baat kya hai sawal pura jawab aadha
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
aap to munh pher kar kahte hain aane ke liye
wasl ka wada zara aankhen mila kar kijiye
Lala Madhav Ram Jauhar
arman wasl ka meri nazron se taD ke
pahle hi se wo baiTh gae munh bigaD ke
Lala Madhav Ram Jauhar
atao kaun si surat hai un se milne ki
na us taraf unhen fursat na hum idhar KHali
Lala Madhav Ram Jauhar