visal-e-yar ki KHwahish mein aksar
charagh-e-sham se pahle jala hun
Alamtaab Tishna
dekh le bulbul o parwana ki betabi ko
hijr achchha na hasinon ka visal achchha hai
Ameer Minai
phir baiThe baiThe wada-e-wasl us ne kar liya
phir uTh khaDa hua wahi rog intizar ka
Ameer Minai
aha KHwab mein un se shab bhar visal
mere baKHt jage main soya kiya
Ameer Minai
wasl ho jae yahin hashr mein kya rakkha hai
aaj ki baat ko kyun kal pe uTha rakkha hai
Ameer Minai
wasl ka din aur itna muKHtasar
din gine jate the is din ke liye
Ameer Minai
wo aur wada wasl ka qasid nahin nahin
sach sach bata ye lafz unhin ki zaban ke hain
Ameer Minai