kahan ka wasl tanhai ne shayad bhes badla hai
tere dam bhar ke mil jaane ko hum bhi kya samajhte hain
Firaq Gorakhpuri
zara visal ke baad aaina to dekh ai dost
tere jamal ki doshizgi nikhar aai
Firaq Gorakhpuri
hikayat-e-ishq se bhi dil ka ilaj mumkin nahin ki ab bhi
firaq ki talKHiyan wahi hain visal ki aarzu wahi hai
Ghulam Husain Sajid
ishq par faez hun auron ki tarah lekin mujhe
wasl ka lapka nahin hai hijr se wahshat nahin
Ghulam Husain Sajid
shab-e-wasl thi chandni ka saman tha
baghal mein sanam tha KHuda mehrban tha
Haidar Ali Aatish
wasl ki shab thi aur ujale kar rakkhe the
jism o jaan sab us ke hawale kar rakkhe the
Haidar Qureshi
dhaDakti qurbaton ke KHwab se jage to jaana
zara se wasl ne kitna akela kar diya hai
Hasan Abbas Raza