dost dil rakhne ko karte hain bahane kya kiya
roz jhuTi KHabar-e-wasl suna jate hain
Lala Madhav Ram Jauhar
Thahri jo wasl ki to hui subh sham se
but mehrban hue to KHuda mehrban na tha
Lala Madhav Ram Jauhar
kal wasl mein bhi nind na aai tamam shab
ek ek baat par thi laDai tamam sha
Mamnoon Nizamuddin
kahna qasid ki us ke jine ka
wada-e-wasl par madar hai aaj
Mardan Ali Khan Rana
wasl ka gul na sahi hijr ka kanTa hi sahi
kuchh na kuchh to meri wahshat ka sila de mujh ko
Marghoob Ali
dekh kar tul-e-shab-e-hijr dua karta hun
wasl ke roz se bhi umr meri kam ho jae
Mirza Raza Barq
us se milne ki KHushi baad mein dukh deti hai
jashn ke baad ka sannaTa bahut khalta hai
Moin Shadab