nahin nigah mein manzil to justuju hi sahi
nahin visal mayassar to aarzu hi sahi
Faiz Ahmad Faiz
ye aarzu bhi baDi chiz hai magar hamdam
visal-e-yar faqat aarzu ki baat nahin
Faiz Ahmad Faiz
do alag lafz nahin hijr o visal
ek mein ek ki goyai hai
Farhat Ehsas
hijr o visal charagh hain donon tanhai ke taqon mein
akasr donon gul rahte hain aur jala karta hun main
Farhat Ehsas
mere har misre pe us ne wasl ka misra lagaya
sab adhure sher shab bhar mein mukammal ho gae the
Farhat Ehsas
use KHabar thi ki hum visal aur hijr ek sath chahte hain
to us ne aadha ujaD rakkha hai aur aadha bana diya hai
Farhat Ehsas
us ki qurbat ka nasha kya chiz hai
hath phir jalte tawe par rakh diya
Faza Ibn e Faizi