ada se dekh lo jata rahe gila dil ka
bas ek nigah pe Thahra hai faisla dil ka
Arshad Ali Khan Qalaq
nigah-e-naz ki masumiyat are tauba
jo hum fareb na khate to aur kya karte
Arshi Bhopali
nigahen is qadar qatil ki uff uff
adaen is qadar pyari ki tauba
Arzoo Lakhnavi
pahli nazar bhi aap ki uff kis bala ki thi
hum aaj tak wo choT hain dil par liye hue
Asghar Gondvi
kuchh tumhaari nigah kafir thi
kuchh mujhe bhi KHarab hona tha
Asrar-ul-Haq Majaz
us ne meri nigah ke sare suKHan samajh liye
phir bhi meri nigah mein ek sawal hai naya
Athar Nafees
didar ki talab ke tariqon se be-KHabar
didar ki talab hai to pahle nigah mang
ignorant of mores when seeking visions bright
if you want the vision, you first need the sight
Azad Ansari