arson rahe hain aap hamari nigah mein
ye kya kaha ki hum tumhein pahchante nahin
Nooh Narvi
ab aaen ya na aaen idhar puchhte chalo
kya chahti hai un ki nazar puchhte chalo
Sahir Ludhianvi
tujhe danista mahfil mein jo dekha ho to mujrim hun
nazar aaKHir nazar hai be-irada uTh gai hogi
Seemab Akbarabadi
chhal-bal us ki nigah ka mat puchh
sehr hai ToTka hai Tona hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
mujhe tawiz likh do KHun-e-ahu se ki ai syano
taghaful ToTka hai aur jadu hai nazar us ki
Shaikh Zahuruddin Hatim
shaguftagi-e-dil-e-karwan ko kya samjhe
wo ek nigah jo uljhi hui bahaar mein hai
Shakeel Badayuni
dhoka tha nigahon ka magar KHub tha dhoka
mujh ko teri nazron mein mohabbat nazar aai
Shaukat Thanvi