اردو हिंदी
Asrar-e-ishq hai dil-e-muztar liye hue | Shaahi Shayari
asrar-e-ishq hai dil-e-muztar liye hue

Ghazal

Asrar-e-ishq hai dil-e-muztar liye hue

Asghar Gondvi

;

asrar-e-ishq hai dil-e-muztar liye hue
qatra hai be-qarar samundar liye hue

aashob-e-dahr o fitna-e-mahshar liye hue
pahlu mein yani ho dil-e-muztar liye hue

mauj-e-nashim-e-subh ke qurban jaiye
aai hai bu-e-zulf-e-moambar liye hue

kya mastiyan chaman mein hain josh-e-bahaar se
har shaKH-e-gul hai hath mein saghar liye hue

qatil nigah-e-yas ki zad se na bach saka
KHanjar the hum bhi ek tah-e-KHanjar liye hue

KHira kiye hai chashm-e-haqiqat-shanas bhi
har zarra ek mehr-e-munawwar liye hue

pahli nazar bhi aap ki uff kis bala ki thi
hum aaj tak wo choT hain dil par liye hue

taswir hai khinchi hui naz-o-niyaz ki
main sar jhukae aur wo KHanjar liye hue

sahba-e-tund-o-tez ko saqi sambhaalna
uchhle kahin na shisha-o-saghar liye hue

main kya kahun kahan hai mohabbat kahan nahin
rag rag mein dauDi phirti hai nashtar liye hue

nam un ka aa gaya kahin hangam-e-baz-purs
hum the ki uD gae saf-e-mehshar liye hue

'asghar' harim-e-ishq mein hasti hi jurm hai
rakhna kabhi na panw yahan sar liye hue