dekha hai kis nigah se tu ne sitam-zarif
mahsus ho raha hai main gharq-e-sharab hun
Abdul Hamid Adam
main umr bhar jawab nahin de saka 'adam'
wo ek nazar mein itne sawalat kar gae
Abdul Hamid Adam
saqi mujhe sharab ki tohmat nahin pasand
mujh ko teri nigah ka ilzam chahiye
the charge of being affected by wine, I do despise
I want to be accused of feasting from your eyes
Abdul Hamid Adam
saqi zara nigah mila kar to dekhna
kambaKHt hosh mein to nahin aa gaya hun main
Abdul Hamid Adam
e-KHud bhi hain hoshiyar bhi hain dekhne wale
in mast nigahon ki ada aur hi kuchh hai
Abul Kalam Azad
hai tere liye sara jahan husn se KHali
KHud husn agar teri nigahon mein nahin hai
Afsar Merathi
ye kin nazron se tu ne aaj dekha
ki tera dekhna dekha na jae
Ahmad Faraz