اردو हिंदी
Dil ki masarraten nai jaan ka malal hai naya | Shaahi Shayari
dil ki masarraten nai jaan ka malal hai naya

Ghazal

Dil ki masarraten nai jaan ka malal hai naya

Athar Nafees

;

dil ki masarraten nai jaan ka malal hai naya
meri ghazal mein aaj phir ek sawal hai naya

ab jo khile hain dil mein phul un ki bahaar hai nai
ab jo lagi hai dil mein aag us ka jalal hai naya

us ke liye bhi gham-za-e-naz-o-ada ka waqt hai
apne liye bhi mausam-e-hijr-o-visal hai naya

us mein bhi KHud-numai ke rang bahut hain in dinon
apne liye bhi arsa-e-KHwab-o-KHayal hai naya

jag uTha hai ek chaman meri hudud-e-zat mein
us ke qarib hi kahin dasht-e-malal hai naya

ruh mein jal uThe hain aaj lazzat-e-qurb ke charagh
soz-o-gudaz-e-hijr bhi shamil-e-haal hai naya

jhum uThe hain barg-o-bar phul khile hain be-shumar
ai meri ruh-e-be-qarar tera to haal hai naya

us ne meri nigah ke sare suKHan samajh liye
phir bhi meri nigah mein ek sawal hai naya