jis taraf uTh gai hain aahen hain
chashm-e-bad-dur kya nigahen hain
Akbar Allahabadi
mohabbat ka tum se asar kya kahun
nazar mil gai dil dhaDakne laga
Akbar Allahabadi
log nazron ko bhi paDh lete hain
apni aankhon ko jhukae rakhna
Akhtar Hoshiyarpuri
na mizaj-e-naz-e-jalwa kabhi pa sakin nigahen
ki ulajh ke rah gai hain teri zulf-e-KHam-ba-KHam mein
Akhtar Orenvi
un ras bhari aankhon mein haya khel rahi hai
do zahr ke pyalon mein qaza khel rahi hai
Akhtar Shirani
faqat nigah se hota hai faisla dil ka
na ho nigah mein shoKHi to dilbari kya hai
Allama Iqbal
sidhi nigah mein teri hain tir ke KHwas
tirchhi zara hui to hain shamshir ke KHwas
Ameer Minai