اردو हिंदी
Dil ko paiham wahi andoh-shumari karna | Shaahi Shayari
dil ko paiham wahi andoh-shumari karna

Ghazal

Dil ko paiham wahi andoh-shumari karna

Khursheed Rizvi

;

dil ko paiham wahi andoh-shumari karna
ek saat ko shab o roz pe tari karna

ab wo aankhen nahin miltin ki jinhen aata tha
KHak se dil jo aTe hon unhen jari karna

maut ki ek alamat hai agar dekha jae
ruh ka chaar anasir pe sawari karna

tu kahan murgh-e-chaman fikr-e-nasheman mein paDa
ki tera kaam to tha nala-o-zari karna

hun main wo lala-e-sahra ki hua mere supurd
dasht mein pairawi-e-baad-e-bahaari karna

is se pahle ki ye sauda mere sar mein na rahe
dast-e-qatil ko ata zarbat-e-kari karna

ye jo Tapka hai zaban par so karam hai ye tera
ab rag o pai mein use jari-o-sari karna

baKHsha lal-o-jawahir se siwa tab-e-suKHan
KHak ko anjum-e-aflak pe bhaari karna