اردو हिंदी
RuKHsat hua to baat meri man kar gaya | Shaahi Shayari
ruKHsat hua to baat meri man kar gaya

Ghazal

RuKHsat hua to baat meri man kar gaya

Khalid Sharif

;

ruKHsat hua to baat meri man kar gaya
jo us ke pas tha wo mujhe dan kar gaya

bichhDa kuchh is ada se ki rut hi badal gai
ek shaKHs sare shahr ko viran kar gaya

dilchasp waqia hai ki kal ek aziz dost
apne mafad par mujhe qurban kar gaya

kitni sudhar gai hai judai mein zindagi
han wo jafa se mujh pe to ehsan kar gaya

'KHalid' main baat baat pe kahta tha jis ko jaan
wo shaKHs aaKHirash mujhe be-jaan kar gaya