اردو हिंदी
Tujhko to quwwat-e-izhaar zamane se mili | Shaahi Shayari
tujhko to quwwat-e-izhaar zamane se mili

Ghazal

Tujhko to quwwat-e-izhaar zamane se mili

Anwar Sadeed

;

tujh ko to quwwat-e-izhaar zamane se mili
mujh ko aazada-rawi KHun jalane se mili

qarya-e-jaan ki tarah un pe udasi thi muhit
dar-o-diwar ko raunaq tere aane se mili

yun tasalli ko to ek yaad bhi kafi thi magar
dil ko taskin tere lauT ke aane se mili

main KHizan-dida shajar ki tarah gumnam sa tha
mujh ko waqat teri taswir banane se mili

shaKH-e-ehsas pe jo phul khile hain un ko
zindagi husn ka idrak baDhane se mili

jagti aankh se jo KHwab tha dekha 'anwar'
us ki tabir mujhe dil ke jalane se mili