اردو हिंदी
Yun to kya kya nazar nahin aata | Shaahi Shayari
yun to kya kya nazar nahin aata

Ghazal

Yun to kya kya nazar nahin aata

Amjad hyderabadi

;

yun to kya kya nazar nahin aata
koi tum sa nazar nahin aata

DhunDti hain jise meri aankhen
wo tamasha nazar nahin aata

ho chali KHatm intizar mein umr
koi aata nazar nahin aata

jholiyan sab ki bharti jati hain
dene wala nazar nahin aata

zer-e-saya hon us ke ai 'amjad'
jis ka saya nazar nahin aata