اردو हिंदी
Mera akela KHuda yaad aa raha hai mujhe | Shaahi Shayari
mera akela KHuda yaad aa raha hai mujhe

Ghazal

Mera akela KHuda yaad aa raha hai mujhe

Saqi Faruqi

;

mera akela KHuda yaad aa raha hai mujhe
ye sochta hua girja bula raha hai mujhe

mujhe KHabar hai ki ek musht-e-KHak hun phir bhi
tu kya samajh ke hawa mein uDa raha hai mujhe

ye kya tilism hai kyun raat bhar sisakta hun
wo kaun hai jo diyon mein jala raha hai mujhe

usi ka dhyan hai aur pyas baDhti jati hai
wo ek sarab ki sahra bana raha hai mujhe

main aansuon mein nahaya hua khaDa hun abhi
janam janam ka andhera bula raha hai mujhe