اردو हिंदी
Main wahi dasht hamesha ka tarasne wala | Shaahi Shayari
main wahi dasht hamesha ka tarasne wala

Ghazal

Main wahi dasht hamesha ka tarasne wala

Saqi Faruqi

;

main wahi dasht hamesha ka tarasne wala
tu magar kaun sa baadal hai barasne wala

sang ban jaane ke aadab sikhae main ne
dil ajab ghuncha-e-nau-ras tha bikasne wala

husn wo TuTta nashsha ki mohabbat mange
KHun rota hai mere haal pa hansne wala

ranj ye hai ki hunar-mand bahut hain hum bhi
warna wo shola-e-isyan tha jhulasne wala

wo KHuda hai to meri ruh mein iqrar kare
kyun pareshan kare dur ka basne wala