اردو हिंदी
Jis ne ek ahd ke zehnon ko jila di hogi | Shaahi Shayari
jis ne ek ahd ke zehnon ko jila di hogi

Ghazal

Jis ne ek ahd ke zehnon ko jila di hogi

Kalidas Gupta Raza

;

jis ne ek ahd ke zehnon ko jila di hogi
mere aawara KHayalat ki bijli hogi

le uDi hai tere hathon ki hina pichhle pahar
mere uljhe hue afkar ki aandhi hogi

jitni mil jaegi kanTon ki chubhan le lunga
jo bhi haalat dil-e-be-tab ki hogi hogi

hum na manenge KHamoshi hai tamanna ka mizaj
han bhari bazm mein wo bol na pai hogi

meri na-kaami-e-haalat ke dhaare ke siwa
ek naddi bhi to be-ab na bahti hogi

hai 'raza' aaj ka aalam to asir-e-ibham
yar zinda hain to kal aur taraqqi hogi