اردو हिंदी
Saut kya shai hai KHamushi kya hai | Shaahi Shayari
saut kya shai hai KHamushi kya hai

Ghazal

Saut kya shai hai KHamushi kya hai

Farhat Shahzad

;

saut kya shai hai KHamushi kya hai
gham kise kahte hain KHushi kya hai

aaj hun kal yahan nahin hunga
mujh se jaanan ye be-ruKHi kya hai

des pardes ho gaya ab to
aashna kaun ajnabi kya hai

zindagi tere wasl ki KHwahish
mil gaya tu to zindagi kya hai

aur gar tu bichhaD gaya mujh se
phir meri jaan maut bhi kya hai

ek pal bhi sukun nahin milta
tujh se mil kar ye be-kali kya hai

tarz-e-mausam pe baat chal nikli
warna mazi ka zikr hi kya hai

dosti jo nibha nahin sakte
un se 'shahzad' dushmani kya hai