اردو हिंदी
Intezar Shayari | Shaahi Shayari

Intezar

93 Shers

khula hai dar pa tera intizar jata raha
KHulus to hai magar e'tibar jata raha

Javed Akhtar




jise na aane ki qasmen main de ke aaya hun
usi ke qadmon ki aahaT ka intizar bhi hai

Javed Naseemi




kabhi is rah se guzre wo shayad
gali ke moD par tanha khaDa hun

Junaid Hazin Lari




kaun aaega yahan koi na aaya hoga
mera darwaza hawaon ne hilaya hoga

Kaif Bhopali




teri aamad ki muntazir aankhen
bujh gain KHak ho gae raste

Khaleel Tanveer




ab in hudud mein laya hai intizar mujhe
wo aa bhi jaen to aae na aitabar mujhe

Khumar Barabankavi




o jaane wale aa ki tere intizar mein
raste ko ghar banae zamane guzar gae

Khumar Barabankavi