اردو हिंदी
Khula hai dar pa tera intizar jata raha | Shaahi Shayari
khula hai dar pa tera intizar jata raha

Ghazal

Khula hai dar pa tera intizar jata raha

Javed Akhtar

;

khula hai dar pa tera intizar jata raha
KHulus to hai magar e'tibar jata raha

kisi ki aankh mein masti to aaj bhi hai wahi
magar kabhi jo hamein tha KHumar jata raha

kabhi jo sine mein ek aag thi wo sard hui
kabhi nigah mein jo tha sharar jata raha

ajab sa chain tha hum ko ki jab the hum bechain
qarar aaya to jaise qarar jata raha

kabhi to meri bhi sunwai hogi mahfil mein
main ye umid liye bar bar jata raha