jis ko aate dekhta hun ai pari kahta hun main
aadmi bheja na ho mere bulane ke liye
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
kaTte kisi tarah se nahin hae kya karun
din ho gae pahaD mujhe intizar ke
Lala Madhav Ram Jauhar
wada nahin payam nahin guftugu nahin
hairat hai ai KHuda mujhe kyun intizar hai
Lala Madhav Ram Jauhar
chale bhi aao mere jite-ji ab itna bhi
na intizar baDhao ki nind aa jae
Mahshar Inayati
shab-e-intizar ki kashmakash mein na puchh kaise sahar hui
kabhi ek charagh jala diya kabhi ek charagh bujha diya
Majrooh Sultanpuri
had se guzra jab intizar tera
maut ka hum ne intizar kiya
Meer Ali Ausat Rashk
aah qasid to ab talak na phira
dil dhaDakta hai kya hua hoga
Meer Mohammadi Bedar