اردو हिंदी
Intezar Shayari | Shaahi Shayari

Intezar

93 Shers

phir baiThe baiThe wada-e-wasl us ne kar liya
phir uTh khaDa hua wahi rog intizar ka

Ameer Minai




lagi rahti hai ashkon ki jhaDi garmi ho sardi ho
nahin rukti kabhi barsat jab se tum nahin aae

Anwar Shuoor




ye intizar nahin shama hai rifaqat ki
is intizar se tanhai KHub-surat hai

Arshad Abdul Hamid




mujh ko ye aarzu wo uThaen naqab KHud
un ko ye intizar taqaza kare koi

I had hoped she would unveil at her own behest
and she waits for someone to make a request

Asrar-ul-Haq Majaz




darwaza khula hai ki koi lauT na jae
aur us ke liye jo kabhi aaya na gaya ho

Athar Nafees




wo intizar ki chaukhaT pe so gaya hoga
kisi se waqt to puchhen ki kya baja hoga

Bashir Badr




kabhi dar par kabhi hai raste mein
nahin thakti hai intizar se aankh

Bashiruddin Ahmad Dehlvi