اردو हिंदी
Kaun aaega yahan koi na aaya hoga | Shaahi Shayari
kaun aaega yahan koi na aaya hoga

Ghazal

Kaun aaega yahan koi na aaya hoga

Kaif Bhopali

;

kaun aaega yahan koi na aaya hoga
mera darwaza hawaon ne hilaya hoga

dil-e-nadan na dhaDak ai dil-e-nadan na dhaDak
koi KHat le ke paDosi ke ghar aaya hoga

is gulistan ki yahi rit hai ai shaKH-e-gul
tu ne jis phul ko pala wo paraya hoga

dil ki qismat hi mein likkha tha andhera shayad
warna masjid ka diya kis ne bujhaya hoga

gul se lipTi hui titli ko gira kar dekho
aandhiyo tum ne daraKHton ko giraya hoga

khelne ke liye bachche nikal aae honge
chand ab us ki gali mein utar aaya hoga

'kaif' pardes mein mat yaad karo apna makan
ab ke barish ne use toD giraya hoga