اردو हिंदी
Intezar Shayari | Shaahi Shayari

Intezar

93 Shers

tere aane ki kya umid magar
kaise kah dun ki intizar nahin

Firaq Gorakhpuri




ai gardisho tumhein zara taKHir ho gai
ab mera intizar karo main nashe mein hun

Ganesh Bihari Tarz




un ke aane ke baad bhi 'jalib'
der tak un ka intizar raha

Habib Jalib




tamam umr tera intizar hum ne kiya
is intizar mein kis kis se pyar hum ne kiya

Hafeez Hoshiarpuri




wo mujhe chhoD ke ek sham gae the 'nasir'
zindagi apni usi sham se aage na baDhi

Hakeem Nasir




kahin wo aa ke miTa den na intizar ka lutf
kahin qubul na ho jae iltija meri

let her not come to me and this pleasure destroy
let not my prayers be answered, for waiting is a joy

Hasrat Jaipuri




gham-e-jahan ko sharmsar karne wale kya hue
wo sari umr intizar karne wale kya hue

Iftikhar Arif