mujhe KHabar thi mera intizar ghar mein raha
ye hadsa tha ki main umr bhar safar mein raha
Saqi Faruqi
aadhi se ziyaada shab-e-gham kaT chuka hun
ab bhi agar aa jao to ye raat baDi hai
Saqib Lakhnavi
tere wade ko kabhi jhuT nahin samjhunga
aaj ki raat bhi darwaza khula rakkhunga
Shahryar
itna main intizar kiya us ki rah mein
jo rafta rafta dil mera bimar ho gaya
Shaikh Zahuruddin Hatim
muddat hui palak se palak aashna nahin
kya is se ab ziyaada kare intizar chashm
Shaikh Zahuruddin Hatim
muddat se KHwab mein bhi nahin nind ka KHayal
hairat mein hun ye kis ka mujhe intizar hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
qurban sau tarah se kiya tujh par aap ko
tu bhi kabhu to jaan na aaya bajae id
Shaikh Zahuruddin Hatim