kab wo aaenge ilahi mere mehman ho kar
kaun din kaun baras kaun mahina hoga
Mubarak Azimabadi
tamam jism ko aankhen bana ke rah tako
tamam khel mohabbat mein intizar ka hai
Munawwar Rana
ab kaun muntazir hai hamare liye wahan
sham aa gai hai lauT ke ghar jaen hum to kya
Muneer Niyazi
ye kaisa nashsha hai main kis ajab KHumar mein hun
tu aa ke ja bhi chuka hai main intizar mein hun
Muneer Niyazi
allah re be-KHudi ki tere pas baiTh kar
tera hi intizar kiya hai kabhi kabhi
o lord! There are times when such is my raptured state
even though I am with you, and yet for you I wait
Naresh Kumar Shad
tere aane ka dhoka sa raha hai
diya sa raat bhar jalta raha hai
Nasir Kazmi
isi KHayal mein har sham-e-intizar kaTi
wo aa rahe hain wo aae wo aae jate hain
Nazar Hyderabadi