hamein bhi aaj hi karna tha intizar us ka
use bhi aaj hi sab wade bhul jaane the
Aashufta Changezi
kabhi to dair-o-haram se tu aaega wapas
main mai-kade mein tera intizar kar lunga
Abdul Hamid Adam
aDe taban baDe raushan sitare TuT jate hain
sahar ki rah takna ta sahar aasan nahin hota
Ada Jafri
main ne samjha tha ki lauT aate hain jaane wale
tu ne ja kar to judai meri qismat kar di
Ahmad Nadeem Qasmi
thak gae hum karte karte intizar
ek qayamat un ka aana ho gaya
Akhtar Shirani
agh-e-bahisht se mujhe hukm-e-safar diya tha kyun
kar-e-jahan daraaz hai ab mera intizar kar
Why did you bid me leave from paradise for now
My work is yet unfinished here so you wil have to wait
Allama Iqbal
mana ki teri did ke qabil nahin hun main
tu mera shauq dekh mera intizar dekh
agreed I am not worthy of your vision divine
behold my zeal, my passion see how I wait and pine
Allama Iqbal