nainon mein tha rasta hirdai mein tha ganw
hui na puri yatra chhalni ho gae panw
Nida Fazli
hai KHushi intizar ki har dam
main ye kyun puchhun kab milenge aap
Nizam Rampuri
arha tera intizar kiya
apne KHwabon mein ek dulhan ki tarah
Parveen Shakir
wo na aaega hamein malum tha is sham bhi
intizar us ka magar kuchh soch kar karte rahe
Parveen Shakir
ye waqt band darichon pe likh gaya 'qaisar'
main ja raha hun mera intizar mat karna
Qaisar-ul-Jafri
ye intizar ki ghaDiyan ye shab ka sannaTa
is ek shab mein bhare hain hazar sal ke din
Qamar Siddiqi
sadiyon tak ehtimam-e-shab-e-hijr mein rahe
sadiyon se intizar-e-sahar kar rahe hain hum
Rais Amrohvi