اردو हिंदी
Marka jab chhiD gaya to kya hua humse suno | Shaahi Shayari
marka jab chhiD gaya to kya hua humse suno

Ghazal

Marka jab chhiD gaya to kya hua humse suno

Anees Ashfaq

;

marka jab chhiD gaya to kya hua hum se suno
kushtagan-e-shahr-e-KHun ka majra hum se suno

kyun shajar sukhe hue hain kyun nahin barg o samar
mausamon ne is chaman mein kya kiya hum se suno

parda-e-sad-rang-hairat KHana-e-nairang mein
kaun hai aaina-andar-aina hum se suno

taq o dar mein kyun charaghon ki lawen KHamosh hain
kya hua wo raushni ka silsila hum se suno

aur ye chashm-e-tamasha band ho jati hai jab
parda-e-dil par nazar aata hai kya hum se suno

kyun nahin hote munajaton ke mani munkashif
ramz ban jata hai kyun harf-e-dua hum se suno