اردو हिंदी
Hai justuju ki KHub se hai KHub-tar kahan | Shaahi Shayari
hai justuju ki KHub se hai KHub-tar kahan

Ghazal

Hai justuju ki KHub se hai KHub-tar kahan

Altaf Hussain Hali

;

hai justuju ki KHub se hai KHub-tar kahan
ab Thaharti hai dekhiye ja kar nazar kahan

hain daur-e-jam-e-awwal-e-shab mein KHudi se dur
hoti hai aaj dekhiye hum ko sahar kahan

ya rab is iKHtilat ka anjam ho ba-KHair
tha us ko hum se rabt magar is qadar kahan

ek umr chahiye ki gawara ho nish-e-ishq
rakkhi hai aaj lazzat-e-zaKHm-e-jigar kahan

bas ho chuka bayan kasal-o-ranj-e-rah ka
KHat ka mere jawab hai ai nama-bar kahan

kaun o makan se hai dil-e-wahshi kinara-gir
is KHanuman-KHarab ne DhunDa hai ghar kahan

hum jis pe mar rahe hain wo hai baat hi kuchh aur
aalam mein tujh se lakh sahi tu magar kahan

hoti nahin qubul dua tark-e-ishq ki
dil chahta na ho to zaban mein asar kahan

'haali' nashat-e-naghma-o-mai DhunDhte ho ab
aae ho waqt-e-subh rahe raat bhar kahan