اردو हिंदी
Kahte hain log shahr to ye bhi KHuda ka hai | Shaahi Shayari
kahte hain log shahr to ye bhi KHuda ka hai

Ghazal

Kahte hain log shahr to ye bhi KHuda ka hai

Asad Badayuni

;

kahte hain log shahr to ye bhi KHuda ka hai
manzar yahan tamam magar karbala ka hai

aate hain barg-o-bar daraKHton ke jism par
tum bhi uThao hath ki mausam dua ka hai

ghairon ko kya paDi hai ki ruswa karen mujhe
in sazishon mein hath kisi aashna ka hai

ab hum visal-e-yar se be-zar hain bahut
dil ka jhukaw hijr ki jaanib bala ka hai

ye kya kaha ki ahl-e-junun ab nahin rahe
'asad' jo tere shahr mein banda KHuda ka hai