diya KHamosh hai lekin kisi ka dil to jalta hai
chale aao jahan tak raushni malum hoti hai
the lamp's extinguised but someone's heart
Nushur Wahidi
na jaane kaun sa aaseb dil mein basta hai
ki jo bhi Thahra wo aaKHir makan chhoD gaya
Parveen Shakir
'qamar' kisi se bhi dil ka ilaj ho na saka
hum apna dagh dikhate rahe zamane ko
Qamar Jalalvi
dil pe aae hue ilzam se pahchante hain
log ab mujh ko tere nam se pahchante hain
Qateel Shifai
na jhaTko zulf se pani ye moti TuT jaenge
tumhaara kuchh na bigDega magar dil TuT jaenge
Rajinder Krishan
aap daulat ke taraazu mein dilon ko taulen
hum mohabbat se mohabbat ka sila dete hain
Sahir Ludhianvi
yunhi dil ne chaha tha rona-rulana
teri yaad to ban gai ek bahana
Sahir Ludhianvi